RECENT UPDATE

Khoon Se Letter Likh Diya Bewafa Ko

Khoon Se Letter Likh Diya Bewafa Ko
Hye dosto mera nam rohit hai pura name Rohit katariya or mai saharanpur se hu. ye meri real love story (in Hindi) hai. Doston real kya ye badi hi sad love story hai…
mai philhal   B-Tech (2nd) year ka student hun.or maine aapse kuch nahi chupaya mai jo kuuch likh raha hu wo bilkul such hai.maine koi  jhut nahi likh raha hun.yeh meri apni kahani hai…


Yeh kahani aaj se lagbhag 2 sal pehle ki hai us wakt  jab mai 11th mein aaya tha to us wakt hamare clg mein ek nayi ladki aayi jiska name tha Neha ,,,,,Neha sharma  jo 10 mein padti thi us wakt usi dekhte hi mujhe usse pyar ho gaya.halanki mai chota tho tha hi par pata nahi kaise mai usse pyar kar baitha,yeh sayad meri jindagi ki sabse badi galiti thi..?
Or mai use had se jayada cahane laga tha par Usse  etna pyar hone par b maine usse kabhi kaha nahi wo isliye kyoki mai sayad darta tha.kahi wo mujse naraj na ho jaye.main nahi chahata tha ki wo meri wajah se paresaan ho ..
Or  dosto isi dar se maine usse kabhi Ejhaar nahi kiya.wo mere sath bahut aachi tarah bolti thi sayad wo b mujhe chahne lagi thi., isi tarah karib  2 saal gujar gaye
Par main pagal usse darta raha or kabhi is bare mein usse koi baat nahi ki..?
phir jab mere 12th k Exam aane wale the to sabhi dosto ne kaha ki yaar rohit tum usse Etna pyar karte ho phir usi se Etni duri kyo usse ek bar kaho to kya pata wo b tumse pyar karti hi.. unki ye baat sunkar main b kuch samajne laga…. Par meri  kismat ke aage mai b majbur ho gaya wo agle din hi apne ghar chali gai.. wo yaha apni Bua k yaha rehti thi.
Uske baad dosto main usko har wakt yaad karta raha maine socha ki is baar Exam mein Fail ho jaun par us wakt bahut der ho chuki thi.mera sirf ek Exam hi bacha tha . par maine Us  Exam main kuch nahi likha answer sheet bilkul khali  the par  meri kismat ne yaha b mera  sath nahi diya or mai 2nd devisan se pass ho gaya. mujhe eska bahut dukh hua,  Or maine mirjapur (B-Tech) mein admission le liya jo hamare gaon se bahut dur tha to mai wahi Room lekar rehne laga ..
par mera Ek dost Anuj tha jomere sath padtha tha wo fail ho gaya. Or jab usne wapas clg mein admission liya to neha usse baat karne lagi or mere bare mein puchne lagi to usne mere bare mein use sab kuch bata diya to anuj ne mujhe call karke sab kuch batayaor kaha ki yaar tum use purpose jarur karo or maine b man bana liya ki ab to use purpose jarur karung par mujhe nahi pata tha ki purpose kaise karte hai
Yeh sab Mujhe nahi pata tha ,maine kai dosto se is bare mein pucha b par unhone koi  jawab nahi diya to maine Anuj se pucha ki kya tum use love  letter De sakte ho kya to usne haa kar di par maine kabhi koi letter nahi likha tha mai kai raat se letter likhne ki kosis karta raha par kuch samaj mein nahi aa raha tha ki main suru kaha se karu  Kya likhu…?
Phir mere man main aaya ki mai use apne khoon se letter likh kar dunga  or  main agle hi din blade se aapna hath kata or Ek kore kgaj par bada sa dil banaya or uske bich mein I LOVE YOU likha Or anuj ko de diya..or wapas apne Room par aa gaya, or agle hi din jab anuj clg gaya to usne  neha ko bataya ki rohit Ne tumhare liye kuch diya hai to usne kaha  mujhe nahi pata use wapis de dena mai nahi lungi to anuj ne use wo letter ko open karke uske samne rakh diya.
diya to nehause dekhte hi  rone lagi,or Chup chap Apne kamre class room se bahar  chali gayi, to anuj B dar gaya.usne  usko kuch nahi kaha.or ghar aate hi mujhe call kiya or kaha ki yaar tumne to Bahut galat kiya aaj clg mein kuch hua usne mujhe sab bataya.maine  dukhi man se call kat diya. Or us din maine kuch nahi kiya khana tak nahi khaya. na hi banaya.,,
Par agle din saam k wakt neha ki mujhe call aai or usne mujhe Sirf ek baat kahi.. usne kaha rohit kya tumhare liye koi pen nahi tha  jo khoon se likhha…
yeh sunkar mujhe bahut khusi hui or ussi thodi der baat ki..or  usne  kaha ki mai kal call karungi.agle din maine uske liye Ek silver ring kharidi or ghar aa gaya   uske baad  Anuj ne wo Ring Usko de di use wo bahut pasand aai ….
hum dono roj baat karne lage.or hamara pyar badhne laga, mai use bahut baat karta Sunday ko to pura pura din hum baat karte the or mai har Saturday ko ghar aane laga ..
Par ek din neha college se aai or mujhe kaha ki rohit tum pls anuj ko bol dena ki wo mere sath clg mein na bola kare kyoki aaj Ek ladke ne mere ghar kaha ki Neha ek ladke se Clg mein bahut baat karti hai.maine use dilasa diya or kaha thik hai mai bol dunga… phir hum dono normal baat karne lage neha mujhe etna pyar karne lagi thi ki wo mujhe 3no time call karti or puchti ki aapne khana kahya ya nahi or mujhe daily khana khane k liye kehti,,, mai bahut khus tha mano mere jivan ka sapna such ho gaya.par kuch din bitne k baad neha  call karte hi rone lagi or kaha ki Rohit main apne ghar walo ko bahut dhoka de rahi hu. Aaj meri Buaa ne mujhe bahut dhamkaya..
Maine use samjhaya  par sayad wo dar gai or mera uska baat karna lgbhag band sa ho gaya tha wo mujhe hafte 10 dino main call karti or phir ek din uske call aane par maine  use kaha ki  neha  mai sadi sirf tumse karung.usne mujhe kaha ki nahi easa nahi ho sakta.kuch der baat ki or phir uske baad usne 1 mahine m call ki mai har roj uska intjaar karta par  sayad ab use meri Yaad nahi aati.thi uske Exam aane par maine uske liye ek bahut aacha pen kharida par usne lene se inkaar kar diya..mujhe bahut dukh hua. Par mai kar kya sakta tha…….
Valentine day aane par uske liye Bracelate kharida par wo kaha lene wali thi.
Mujhe bahut dukh hua mai raat raat bhar  rota or uske bare mai sochta ki aakhir mujse kya galti hui jo wo mujse baat nahi kar rahi hai mai har wakt uske  bare mein sochta rehta padna likhna sab band ho gaya hafto tak maine khana nahi khaya or mai bimar pad gaya or ghar aa gaya mujhe Dr. k yaha  admit kiya sayad  use b  is baat ka pata chala hoga par usne meri koi khabar nahi li
Or dosto aaj  use bichde hue 2 saal se jayada ho gaye par uska koi pata nahi mai aaj b use utna hi pyar karta hu or har roj uska intjaar karta hu  mujhe aaj b uska utni hi besabri se intjaar hai jitna ki 2 saal pahla tha. Mai aaj  usse pehle se jayada pyar karta hun..
wo B-com kar rahi hai or maine aaj b wo pen or wo bracelate jo uske liye kharida tha maine  aaj  b wo  sambhal kar rakha hai or uska intjaar hai bas ek khawaish hai ki ek baar to use jarur dekhu bhale hi wo mujse baat na kare par usse milna jarur chahunga.. ma usse kabhi nahi mila or na hi kabhi milna chaha tha mai to use kabhi chuna b nahi chahata tha. Par  use sayad mai pasand nahi tha .wo isleye dosto kyoki mai choti  caste se hun or wo bharaman hai  or sayad yahi wajah hai jo wo mujse dur hui. Par mujhe koi dukh nahi  hai ki wo mujse dur ho gai dukh hai to yeh ki maine suna tha ki jo saccha pyar karta hai uska pyar hamesa  success hota hai.
Par mera pyar  success kyo nahi hua maine to usse saccha pyar kiya tha.phir mere sath Easa kyon hua..mujhe Etna dukh kyo mila or agar saccha pyar karne walo k sath easa hi hota to kehta hun ki koi saccha pyar na kare,,,
Koi kisi ko etna na chahe..
Dosto
”””Thukra ke usne mujhko,muskurane ko kaha!
Main hass diya kiyo ki ,sawal uski khushi ka tha.
Maine khoya woh jo mera tha hi nahi,
Usne khoya wo jo sirf usi ka tha..”””
Neha gangoh se hai or wo philhal B-com(1st) year mein
Or doston aap soch rahe honge ki mai use call kyo nahi karta wo isliye ki usne mujhe kaha tha ki jab b mera time lagega to mai tumse baat karungi..29-12-2011 se aaj tak mai uski call ka intjaar kar raha hun maine use uske last birthday par wish kiya tha tab b uska koi reply nahi aaya or mai use ab b wish karunga  uska birthday 1-august ko hai
Ab to sayad wo b mujhe bhul chuki hogi.  Mai use bhulna chahta hun par bhula nahi pata hun........

Share this:

 
Back To Top
Distributed By Blogger Templates | Designed By OddThemes