RECENT UPDATE

Dosti Bhi Nahi Rahi, Pyar Bhi Nahi Mila

Doston mera nam hai sachin aur main aaj aap sabko apni sad love story (in Hindi) share kar raha hun. mujhe nahi pata ki jo bat maine aaj tak kisi se share nahi ki aaj use hi likhne ki himmat kaise aa gai par agar aaj maine ye bojh dil se nahi utara to lagta hai ki mera dam ghut jayega.
Dosti Bhi Nahi Rahi, Pyar Bhi Nahi Mila

friends, vo 1 jan’12 ka din tha. main roz ki tarah apne dost ramesh ke ghar ja raha tha jahan se ham dono sath sath cricket khelne jaya karte the. ramesh ke pas ek bike thi aur ham donon use aise use karte the ki jaise ham dono ki ho. class 1 se lekar 11th tak, ham sath sath padhe aur sath khele the. ham ek dusre ke ghar mein aise jate the aur rahte the jaise ki apna hi ghar ho !

us din jab main uske ghar pahuncha to main ghar ke andar ghus gaya seedha kyunki ghanti bajane ka to koi matlab hi nahi kabhi. jaisa maine bataya ki uska ghar mera ghar, mera ghar uska ghar aisa tha mamla. to jaise hi main andar ghusa aur ramesh ko awaj di ki abe chalna nahi kya, kahan mar gaya? tabhi ek ladki ki awaaj aai – bhaiya to nahi hain abhi, jara bazar gaye hain. aap baitho na. maine dekha ki ek ghazab ki khubsurat ladki ramesh ke kamre se bahar aai. vahi kah rahi thi ramsh bazar gaya hai.
maine itni sundar ladki dekhi nahi thi so main dekhta rah gaya. fir vo hans kar boli aise kya dekh rahe hain? main rachna hun, ramesh ke mameri bahan. fir andar se ek aur ladki aai. rachna ne kaha ki ye seema hai, meri saheli, mere sath aai hai kanpur se. hama donon ka sunday ko exam hai yahan pe B farma ka. fir mujhe yad aaya ki maine rachna ko kai sal pahle dekha tha . tab to vo frock pahan kar ghumti rahti thi. thi hamari hi umra ki.
maine kaha theek hai. wait karta hun. fir hamari bat hone lagi. fir itne mein ranmesh ki mom hamare liye khane ke liye laddu aur namkeen lai. ham kha hi rahe the ki ramesh aa gaya. fir vo bhi sath baith kar khane laga. khate khate meri najar rachna se hat hi nahi rahi thi. tabhi mujhe laga uski dost seema mujhe hi dekhe ja rahi thi. meri har bat pe muskurati, mere jokes pe mera sath deti. yahan tak ki ek do bar to usne hansi majak mein rachna ke badle mera sath diya.
fir ramesh bola ki chalo, khelne to maine kaha rahne de yar der ho gayi ab, jake sirf firlding milegi karne ko, rahne de, yahin pe gapp marte hain.
kuchh der gap marke main vaapas aa gaya.
agale din main khelne gaya to vo log aunty ke sath ghumne gaye the.
agle din sunday tha. main subah hi ramesh ke ghar chala gaya to pata chal ki rachna aur seema exam dene gaye the. main disappoint ho gaya . fir bhi main sham tak vahin baitha raha. sham ko vo log aaye aur bola ki exam achcha ho gaya aur ab ham kuchh din dilli mein hi ghum fir ke ghar jayenge. ramesh ne kaha ki chalo ham tmhe ghuma denge.
agle din sham ko jab main vahan gaya to pata chal ki ramesh seedhi se gir gaya aur chal nahi pa raha tha. haddi to nahi tuti par hair line fracture ho gaya tha. doc ne use 40 din ka rest bola . maine socha, shit !! ghumne ka program cancel !
lekin tabhi ramesh ne kaha ki yartu hi ghuma la na, varna bore ho jayengi donon ghar mein.
bas main to khush ho gaya. fatafat bike nikali aur kick mari. dono mere peeche baith gai. rachna pahle aur seema bad mein. main bhi yahi chahta tha. khair maine unhein 2-3 jagah ghumai aur kuchh chat vagaira khilai.
agale din fir vahi program bana. lkin is bar jaise hi maine bike start ki, seema jhat se mere peeche baith gai. rachna ek bar to jaise kuchh bolne ko hui fir sabke saamne kuchh na bol kar chupchaap baith gai. lekin aaj donon mein koi bat nahi ho rahi thi.
maine ghumate time unse hansi majak ki koshish ki par donon jyadatar time chup hi rahin. bas meri bat ka hans kar jawaab de deti. seema tio fir bhi kuchh bat kar rahi thi par rachna ekdam chup thi.
mera interest to rachna mein tha isliye main bhi kuchh udaas sa ho gaya. khair. jab ham lal kile se lautne lage to rachna boli ki main jara toilet se aati hun. sema boli ki ruk main bhi aati hun. 10 min bad donon vapas aaye to donon ke chehre lal tamtama rahe the jaise bahut jor ka jhagda hua ho. main kuchh nahi bola aur donon ko ramesh ke ghar chhod aaya.
rat ko achanak ek message aaya mere cell pe – kal aap mat aaiyega – rachna. meri samajh mein kuchh nahi aaya. lekin main agle din fir ramesh ke ghar pahunch gaya. lkin main ye samajh gaya tha ki donon se dosti nahi ho payegi. so jake maine seema ko ekdam ignore kar diya. fir jab ham ghumne jane nikle to seema ne jaise hi baithna chaha, rachna boli ki bad mein, pahle main jara bazar tak ho ke aati hun sachin ke sath. fir chalenge, mujhe kuchh lena hai. jaise hi ham kuchh door tak gaye rachna ne kaha bike roko. main rok di to vo utar kar boli – seema ko kitne din se jante ho jo mere hote hue usse friendship badha rahe ho !
maine kaha ki kahan badha raha hun? main to bas sath nibha raha hun kyunki vo tumhari dost hai. fir usne kaha ki main kaun hun to maine use kaha ki tum kya ho batana mushkil hai par ab rat bhar tumhare bare mein hi sochta rahta hun. yah sun k uske tense face pe ek smile aa gai aur vo boli ke khul ke kaho na – to maine kaha naraj mat ho jana i love you… to vo hans padi aur boli ki Delhi ke ladke bhi itni der lagate honge, ye nahin socha tha. bas fir ham sari sham ghumte rahe.
der se ghar pahunche to ramesh mujh pe bahut gussa hua. uski samjh mein kuchh bat aa rahi thi. usne mujhe akele mein bat ki aur bola dekh, salon sal ki dosti toot jayegi. to mere munh se nikal gaya, pahle rachna se to puchh le… aur yahi mere se galti ho gai. bechari ka nam nahi lena tha jabki abhi hamara pyaar kuchh ghanto ka bhi nahi hua tha.
bas , ramesh ne kaha ki dosti khatam, apne ghar ja. agle din main fir gaya aur ramesh ke pas gaya to pata chala ki rachna aur seema ko agle din subah hi unke ghar bhej diya tha. aur ramesh ne kaha ki itne din ki dosti ki vajah se kuchh nahi kah raha hun aaj, lekin dubara mere ghara aaya to police mein complaint kar dunga.
bas doston, aisa kuchh galat bhi nahi kiya maine, lekin dosti bhi gai aur muhabbat bhi gai.
mere se badnaseeb kaun hoga?
kya karun doston?

Share this:

 
Back To Top
Distributed By Blogger Templates | Designed By OddThemes